“Gareeb Shayari” by Lashcurry is a socially conscious and introspective rap that highlights the struggles of everyday life, offering a raw commentary on societal issues, personal hardships, and the human condition. The track blends poetic metaphors and straightforward critiques, addressing themes of inequality, corruption, and the search for truth in a world filled with superficiality.
The lyrics focus on the disparity between social classes, the disappointments faced by the underprivileged, and the challenges that come with seeking authenticity in a world dominated by materialism.
Gareeb Shayari Lashcurry Credits
Track Name | Gareeb Shayari |
---|---|
Written & Performed By | Lashcurry |
Music Producer | Aditya Pushkarna |
Primary Artist | Lashcurry |
Singer/Performed By | Lashcurry |
Lyricist/Written By | Lashcurry |
Music Produced By | Aditya Pushkarna |
Co-Composer | Aditya Pushkarna |
Music Label | Saregama |
Genre | Hip Hop |
Sub-Genre | Rap |
Language | Hindi |
Country of Origin | India |
Gareeb Shayari Lashcurry Lyrics:
Gareeb Shayari
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar karta gareeb shayari
Khyaal rakh maa baap ka long live my G
Aise gaane aisi baatein kahin nahi mil paayegi
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar karta gareeb shayari
Khyaal rakh maa baap ka long live my G
Aise gaane aisi baatein kahin nahi mil paayegi
Sawaal karna haqq hai mera rakhne aaya neeve pakki
Nashe kar ke yuvaon ki toot chuki reedh haddi
Mandiron ke baahar bhikariyon ki bheed lagti
Netaon ki baatein kyun ajeeb lagti
Yeh candle ek scandal hai chhod do mombatti
Yeh bhagat wali qaum kyun dhong pe maun rakhti
Mera itihaas kehta mujh se tu khol de pol sabki
Ab tu sikhayega usey woh kya pehen aur odh sakti
Inn se gol banti roti nahi troll karta perfect
Tu khana khata time pe na bhoj karta bhar paet
Boss karta tangg tujhe roz karta frustrate
Roz paida hota banti maut meri birthdate
Maa baap se badh ke dastavez ho gaye
Yeh saare western bann-ne ke
Chakkar mein fail ho gaye
Market thap poora share saare dher ho gaye
Goat bann-ne ki hoad mein ladke bhed ho gaye
Gar maa meri bimaaar toh kis baat ka intezaar
Beech bazaar mein chain luti daam tha 20 hazaar
Zilla badar launde hum pe inaam tha 30 hazaar
Remand mein kheenchhi khaal bas jaan na nikali yaar
Peechhe sahab ne chillaya isko aur thoda maar
Khota public aake bajti wannabe lamar
Inka J alag cole alag vaasta nahi hip hop se
Indore se Patna
Patna rajdhani scene sort hai
Yahan sabhi ko hi behtar ki talaash hai
Mujhe ek rapper mein ek rapper ki talaash hai
Woh zinda hai ya laash hai
Parinda ek hataash hai
Samandar mein bhi aag hai
Woh sab
Murjhaye phool saara dosh aata maali pe
Un bhanwaron ka kasoor nahi
Dikhta yeh duniya jaali hai
Horn bajte gaadi ke
Na koyaal gaati daali pe
Married to the game
Poori royal wali shaadi hai
Guldaasta hai sawaal ka
Phool accha hai sambhalna
Qudrat ka yeh kamaal tha
Chhu sakta hoon main aasman
Munh lagta nahi main khamkha
Karta hoon main saadhna
Muqadma ya phir khaatma
Latka bann ke aatma
Lafda kar ke bhaag na
Ghanta ghar ke paas mein
Laash mili poochh-taachh na
Ghapla karti aurat uska aadmi khoob maarta
Fees na milne pe school daakhila kyun kaat-ta
Hum katt gaye woh kaat-ta
Hum bant gaye woh baant-ta
Kisi kasbe mein teacher apne bachhe ko maarta
Par jaan se
Aur dhyaan se
Suno aane wali baatein
Sacchi daastaan
Yeh main nahi mere jazbaat bol rahe
Mere gaano ka daam kuch abhi dus laakh bol rahe
Kuch controversies ke liye masla khoj rahe
Dhan ke lobh mein poori Lanka jhonk rahe
Samaaj ki sunu main ya anaaj ki
Jab baat aati bhookh ki toh pagal hona laazmi
Jab baahar aati news
Behen ko zinda tak nahi chhoda
Safed coat hua laal jiske daag nahi chhupe aaj bhi
Kisi ne poochha nahi beta tera haal kya hai
Sabhi ne poochha tere batwe mein kaagaz kitne
Har jagah dhuan dhuan kaafi hanikarak din tha
Kar diya maaf sabhi ko hum bhi toh baalak dil the
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar karta gareeb shayari
Khyaal rakh maa baap ka long live my G
Aise gaane aisi baatein kahin nahi mil paayegi
Main karta hoon ajeeb shayari
Main gareeb shayar karta gareeb shayari